Talaash-The search of Happiness




Hi Friends,
This time I have not written only a poem but I have tried to give words to some thoughts.Its about the search of happiness.Nobody knows where this happiness actually resides.Their are different shades of happiness.For parents,watching their child growing in good manner gives them happiness, For lovers,presence of their love makes them feel good,For poor, having little amount of money and food gives happiness.But their are some people who have everything in life but still they are not happy because what exactly they want in life is still missing.Only that missing thing can give true happiness to them.Here I have described a character who has everything in life but still not happy, still searching for true happiness.Please go through my blog and leave your comments.



Talaash-The search of Happiness

Kai husrate hai dil me, Jane kiski talaash hai
Kyu mann bechain hai, Jane kiski talaash hai

Kyu anjane se khwab dikhati hai zindagi,
Kyu anchua sa ehsas krati hai zindagi,
Kyu karwate badalta hai jeevan ka har pal
Nazane meri kis parchai se meri mulakat krati hai zindagi
Ye zindagi hi to hai jo mujhe dhoop aur chaanv ka fark btati hai
Shayad mujhe meri zindagi me ek hasin zindagi ki hi talaash hai.

Kyu bhatak rha hai mann abhi bhi,
Kyu khushio k moti nhi piro pa rhi mai,
Kyu sapne poore hokr bhi adhoore hai,
Kyu zindagi me khwaabo ki abhi bhi kami hai,
Shayad mujhe meri zindagi me sooraj ki kirno ki tarah falne wali roshini ki hi talaash hai.

Kyu khwabo me zindagi ko talaash kr rhi hu mai.Jab aankh band krti hu to aisa lagta hai kisi doosri duniya me aa gyi hu.Aisi duniya jo ekdum alag,ekdum adbhut,kalpanaa se pare hai.Ek aisi duniya jo achi bhi hai magar bhyanak bhi, ek aisi duniya jise jine ka mann bhi karta hai magar darr lagta hai k agar ye hkihat hoti to kya gazab ho jata.
Aisa lag rha hai jaise mai kuch paane k lie bhaag rhi hu, magar kya pana chahti hu, kis cheez ki talaash kr rhi hu mujhe khud nhi pta, magar ye sach hai k mujhe kuch pana hai.Aisa lagta hai mano jaise us cheez k mai jitna kreeb jati hu , wo mujhse utna hi door jati hai. Aisa lagta hai jaise khule aakash me ek azaad panchi uad rha hai aur mai ek hirun ki tarah bhaag rhi hu mano jaise us panchi ko nhi, us panchi ki parchai ko pakadna chahti hu.jabki mujhe ye pta hai k parchai ko to koi nhi pakad sakta aur wo panchi to aakash me kitni hzaaro meel ki uchai pr uad rha hai .Magar mera mann nhi maan rha.kitni pagal hu mai. Aur jab neend khulti hai to aisa lagta hai jaise sapno k saare moti bikhar se gaye ho.Ye sach hai k hwa ko koi nhi choo sakta, pani ko koi nhi pakad sakta, sagar ki lahro ko koi nhi maap sakta magar mai apni zindagi jrur talaash kroongi.Mujhe pta hai mera mann ashaant hai,khush nhi hu mai jab saari khushiya hai mere pass.Mujhe ab un shabdo ki talaash hai jo shayad meri zindagi se dhoomil se gye hai. Mayoosi k ghere me ghir se gyi hu mai.Sab kuch hai mere pass magar fir bhi mai akelepan ki zanzir me jakad si gyi hu. mujhe us din ka intezaar hai jis din mai khush mann se kah sku apne aap se, apni aatma se k haan mai bhi khush hu. Maine bhi zindagi jeena ka maksad talaash kr lia hai aur ab manzil bhi mil jayegi.
"Han , Ab Mai Bhi Apni Zindagi Se Khush Hu".

Comments

  1. hi pooja...you really write very well...now something that i wrote for you...

    kuchh gam ke baad bhi, khushi ka ahsaas dilati hai zindagi,
    har raah par har mod par, girkar sambhalna sikhati hai zindagi,

    pure ho.. na ho khwaab magar, spano ke kareeb laati hai zindagi..
    mushkile ho chahe jitni, jeene ki chaah badhati hai zindagi....

    ReplyDelete
  2. Hi Manjesh,
    Thanks for such an impressive lines. you too write very well..no doubt.

    ReplyDelete
  3. beautifullllllllll composition sweetie,,grt going ..keep it up !!!!

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

Life and Hope

A Moment of LOVE

Teri baho me maine jannat dekhi hai...